Thursday 19 May 2022

yahan sab kuch hai, par mai nahi hoon poora

Mere sheher aaya hoon re
Par tu to nahi hai yahan

Kuch dino mein mera to ghar bhi badal diya maine
Kuch ghanto pehle hi to beghar hua hoon
Waqt Lage shaayad, sambhal jaoonga
Beghar bebas bekhabar hone ki aadat hai dali saalon se
Kuch pal aur sahi, thoda ro loonga, thoda khud par has loonga

Tere sheher aaya hoon re
Par tu bhi to nahi hai yahan

Kaali peeli ke paiyyon ki tarah ghoom jaoonga din mein
Raat ko jab kaategi kosegi mujhe meri rooh
2 bottal sharab jamkar pi jaoonga
Wahi dost milenge, poochhenge haal chaal, hasaayenge ya koshish karenge
Hass loonga, kyonki sharab hi meri raat ki rikshaw hogi

Apne sheher aaya hoon re
Par adha tu 
adha mai bannke 

No comments:

Post a Comment