Friday, 27 May 2022

Ek kaam tha

Suna hai tumhaare ghar se ek jheel dikhti hai
Wahan mai gaya nahi kabhi, par kabhi shaayad jaoon
Guzra hoon aksar uske saamne waali gali se 
Par hamesha tumhaare ghar ke taraf dekhte hue
Sochta hoon shaayad tum dikh jaoge

Jab bhi mai wahan se guzarta hoon 
Sochta hoon tumko bulaa loon verande par
Lekin ghadi dekh leta hoon, sambhal jaata hoon
Tum kahin aur rahoge, sochkar khayal badal deta hoon
Sochta hoon, aankh band karke hi tumko dekh loon

Jab nakshe par mai rekhaayein dekhta hoon
Ek baar hamesha tumse kitna dur hoon, aakh leta hoon
Ye pagalpan hai, mai jaanta hoon zara pagal bhi hoon
par bilkul sudhaarna nahi chaahta hoon
Sochta hoon, nakshe par hi tum dikh jao shaayad

Itne saalon se jo hum nahi mile, na bole
Mujhe pata nahi agar tumne ghar badal diya ho
Kabhi kabhi mann karta hai tumhaare kisi dost se pooch loon
Par tumhaare dost bhi to tumhare hai, mere nahi
Sochta hoon ke shaayad tumko dhoondte mai khud hi kho gaya hoon. 

Suno, tumhaare ghar se jo jheel dikhti hai na
Wahan mujhe ek baar lekar chale jao
Gar hua to dono milkar ek ek bottal beer hi pi lenge saath baithe
Par asliyat mein nahi to khwaabon mei hi sahi 
Sochta hoon shaayad isi se mein kuch saal aur jee jaoon

No comments:

Post a Comment