Sunday 1 May 2022

Prem tere, mai daasi bane

Mai nai jaanu, tum se preet
Aur na preet jaane tu meri
Pag jo dekh aaj baithi mai
Barso pehle gaye the sookh
Varsha bhar gai dikha ke ambar
Sharad mei kaai (moss) bhar dikhe pag
Par mitti na maane, chode khud
Aur nihaar Mai na chhod paayi
Pitambar odh, jo tab le gaye tu
Mere odh kya, mann bhi to tha sang
Jab mai vivash laaj odh nikli
Mai to na thi, tu hi bani apne se nagn mai
Par ye pag na kheeche meri kalai
Ye pag to bas meri 'aankh bharai' 
Narka ne to shyam dilayi
Shyam pag rakh chale, yamuna pyasi
Shyam pag ki ab ban baithi mai daasi

No comments:

Post a Comment