Tuesday 8 November 2022

Mahanagar gas Waale aaye the, kaam ho gaya

Gas ke karmchariyon ka shukriya jo aaj mere ghar gas lag gaya
Mai soch raha tha ki tumse baat karu, kahoon ye kaam bhi ho gaya
Lekin phir yaad aaya ki aaj to mangalwaar hai
Tum mangal waar ko bhi baaki dino ki tarah mujhse baat nahi karti

Waise to maine poora kaam kaaj seek rakhha hai, tumne aazmaaya bhi hai
Par tum mujhse pyaar bhi nahi karti ye sach mujhe samjhaaya bhi hai
Par kabhi yoonhi tum aao ghar, kabhi mujhse milkar jao
Mere ghar ke choolhe ko bhi tumko chai pilaakar khush hone do

Bijli ke choolhe par to maine kaafi saari cheezein banaayi hai, banakar khilaayi hai
Zara mere gas ke choolhe ko bhi ek baar jalaa jaao
Tumse dur rehkar to mai jal raha hoon is doorie mein tadap kar
Bas ek aur baar mere ghar mein aakar mere gharko zinda kar jao

No comments:

Post a Comment