Friday 21 October 2022

Suno na Maa

Maa, suno na tumse ek baat kehni thi
Mai rooth chuka hoon is kadar ki ab maan jaata nahi
Hamesha to khud ko manaana pada hai mujhe
Tumko kabhi bataya nahi mere roothne ki wajeh

Maa, suno na tumse ek baat kehni thi
Mai kho chuka hoon is kadar ki ab laut ta nahi
Mere mann ne to prem karna seekh liya tha sabse
Par prem paana raas nahi aaya mujhe kisise

Maa, suno na tumse ek baat kehni thi
Mai ghut chuka hoon is kadar ki ab chayn aata nahi
Maine to sambhala apnon ko apna lahu jalaakar
Par sab tod hi to gaye meri rooh mere zar par

Maa, suno na tumse ek baat kehni thi
Mai toot chuka hoon is kadar ki ab sambhalta nahi
Tum ho to jee raha hoon, sochkar ke tumhe
Dekhna na pade mere ast ke baad ki subeh


No comments:

Post a Comment