Haan par uske baad mai kehta Janamdin aa raha hai
Par yeh bhi sahi hai ki jab tumhe jaana tha
To tumhaare kadmon ko hum kaise rukaa paate
Ye maana ki lakhon galtiya kar li hai maine
Ye saari to tumko pataa thi na
Par yeh bhi sahi hai ki tumhe teherna nahi tha
To tumhaare dil ko hum apni aur kaise manaa laate
Tumhaare dil ko hum kaise jeet paayenge
Jab tumhe mere dil se hi shikayat hai
Par yeh bhi sahi hai ki shikayat ke sivaa tha hi kya
To tumhara haat hum kaise pakkad lete
Ab Diwali umad kar goonj rahi hai dil ke taano mein
Ye virah to mujhe ab daraati hai
Par yeh bhi sahi hai ki mai chirag aur tum lauh thi
To tumhaare saath ye diwali bhi roshan kar jaate
No comments:
Post a Comment