Saturday 8 October 2022

Band botal mein paani kaise bharta hai koi!

Tumse kya kahu, tumpar to phisla hi tha
tumse baat karte karte chal raha tha
Phisal gaya main phirse
Wahi to hota rehta hai,
 tumse baat karta hoon to mera dimag sirf tumko sochta hai

Jaise kal , kal nahi aaj hi , 
subah ke paanch baje to subah hi hai
Apne botal mein paani bhar raha tha
Ab tum kahogi ke paanch baje tak kyo jage hue the!
Wo , mere siraahne mei jo tumhaare baal lage the, 
chun chun kar samet raha tha
Tumko sochte sochte pani jab bharne gaya
Botal ka dhakkan kholna bhool gaya tha
Jab pani pairon par chalka, tab tumhaare khayal se bahar aaya
Pochha lene gaya, phir tumko sochkar usi gire paani par phisal gaya

Ab dekho na, sone chalta hoon to tumhare baalon ne jagaa diya
Jaag raha tha to usi siraahne ko pakkad kar sone ka mann kiya
Tumhari yaad yoonhi mujhe jaagti hai 
Phir dimag thak kar chalte chalte mujhe neend ki jhapkiyo mei giraa deti hai
Dil to waise bhi tod chuke ho tum, tumhari yaadon ko kya takleef hai mujhse
Jo baar baar aakar mujhe tod deti hai

Ab to cheh baj chuke hai, tum aath ghante pehle hi to gaye the
Mujhe chhodkar
Agar beech ke wo paanch saal nikaal doon
To haan aath hi ghante hue hai
Kyonki jab bhi ye din aata hai har saal, 
tumhari  yaad phir tum bankar mere samaksh aa jaati hai
Baatein karti hai, jhagadti hai, gale lagaati hai, roti hai, rulaati hai, sataati hai, behlaati hai
Lekin phir chali jaati hai yaad dilaakar ki tum chale gaye ho
Aath hi ghante pehle 

Mai phir band botal mein paani bharoonga
Phir phisloonga, giroonga, chot lagegi, khoon niklega
Farsh par cheete sookh jayenge
Mujhe dard nahi hoga, kyonki dil ka zakhm bhara nahi hai na
Nayi chot ke dard ko zara rukna hoga
Tum to jaanti ho mujhe, jo pehle aaya wo pehle paayega
Pehle dil ke zakhm bhar jaane do, baaki dard phir kabhi dekh lenge

Aare haan, phir se bhool gaya
Botal ke dhakkan ko kholna padega
Paani bharkar peena hai na, tum jaise kehti thi
"Sone se pehle paani pi lo"
"Chal, sone ki koshish karta hoon
Warna ye botal aur girne ka silsila poore din chalega"

No comments:

Post a Comment