Sunday 26 June 2022

Kaajuphal ke bagh mein

Kaju phal khaye ho kabhi?
Zuban par ek tark si machti hai
Jaise har nivaale mein ek chid
 Har tukde mein ek kurdarapan
Par uski mehak mann ko pighlaa dene waali si hai
Pehli martaba jab ye zubaan par chadhe
Ek alag ehsaas sa lagta hai, 
Aisa jaise galti si ho par iska ras to pehchaana hua sa hai
Na nigal paate ho na ugal paate ho
Par khudse to ye baandh lete ho
Nahi khayenge ye agli baar
Agle mausam jab kaju phal dekhte ho
Wahi manmohak mehak kheech le aati hai tumhe baagh mein
Phir tum ise todkar khaate ho
Phir pachtaate ho, par isbaar utna nahi
Mann ne to thaani hoti aaj shaayad ise poora chakk jaoonga
Phir wahi rusht, oobad khaabad se swaad mein man ulajhta hai
Phirse na khaa paate ho na ugalte ho
Par isbaar takraar kamm hoti hai
Par mann to kehta hai ye aakri baar hoga
Teesre saal baar jab baagh mein tehelte ho
Kaaju phal tume phir pukaarta hai
Tum khiche chale aate ho, 
Uske ras aur khushboo ko apnaakar
Apne dil se samaa lete ho
Kisi ke pochne par tumhara priy' phal aam kehte ho
Par tumhe to kaju phal ne moh liya hota hai
Yahi hai prem, kaaju phal jaisa
Kheech laati hai ye tume apne paas
Tum lad jao, dar jao, dur chale jao par
Tum aaoge wahi baagh mein, khaoge ye phal
Ye prem ko pata hai, ye tumhe bhi pata hai

No comments:

Post a Comment