wo jeehl jo tumhaare ghar ke paas hai
maine suna that sookh rahi hai
kal baita, maine zara bhar diya
aakhon se sooch kar tumko
shaayad jheel thodi namkeen si hogi
aankhein to jal rahi thi meri
Dil ke zakhmo par the tum barse
galaakar tum jalaa gaye the jo
saancha tha wahi namak maine jigar mein
wahi ghul aakhon se kal nikal aaye
darr to raha tha mai kahi
dekh na lo tum verandaase mujhe
dhundle geele nazron mein kahi
jhooti hasi na dikhaa paoon mai
hasna shayad bhool gaya tha mai
jo tumse milkar ekdum se yaad aa gayi
par phir yaad aaya mujhe ye baat
meri hasi gair kudrati si hi hai
tum agar kisi shyam jao us jheel
chal lena zara sa uske uthle paani mei
mai to nahi naap aaoonga kabhi
mere ansu se sanjh dhoop shyaad tumpar jhilmilayegi
wo jheel jo tumhaare ghar ke paas hai
ab nahi sookhegi kabhi meri aankhein wahan jo chhod aaya hoon
No comments:
Post a Comment