Tum ro rahe the, mai bhi to ro raha tha
Sirf tumhare chehre par aansoon the
Mere to aansoon nikalte hi nahi kabhi
Subah jab tum milkar mukar gaye,
mukar ji,
sirf chupkar nahi
Tab socha,
shaayad mere pyaar me kuch kamm tha
Yahi sochkar bhindi kaat raha tha
Aaj mere paas waqt kuch kamm tha
Meri kadhaai ki garmi mein bhindi ke saath mera dil bhi sookh raha tha
Dahi jab padi, mere Pake bhindi par,
Socha mere waqt mein aur Kitna gham tha
Chakk kar dil ko pehle Teri hi yaad aayi
Dahi bhindi hum shukravaar dupeher banaane ruke the
Aaj hi darr mein banaa kar paros mai aaya
Khaane ke liye koi aur tha,
Aur unhone kaha namak zara Kam hai
Mai haskar Keh gaya,
wo to subah hi mukar gayi
kyonki shaayad ishq ka namak hi ghum tha
No comments:
Post a Comment