Thursday 14 July 2022

shyam ko mile kya?

Mai ruka hoon
Hamari shyam ki mulakaat ke liye
Tum aa rahe ho barson baad
Aur ye baadal bhi baras rahe hai
Mai waise to zyaada nahi sochta hoon
Chal deta hoon jahan hoon, jaose hoon
Par tum mil rahe ho, to zara ban thanke nikalna zaroori sa laga
Tumse dur rehkar mai kurdara sa ho gaya tha
Meri kameez mein silvate thi
Socha instri kar loon, phir pehen loonga 
Meri kameez ki silvatein mere aasu se bhigo kar
Istri kar liya maine, tumse milne ki khushi mei
Tum poochoge ye safed cheete kya hai
Jo meri kameez par dikh rahe hai
Mai kahoonga aaloo cheel raha tha
Chalak gaya thoda sa paani kameez par
Rasoi mei to raha hoon, tumse dur hokar
Jalta, jalaata raha hoon, kabhi bhindi kabhi gosth
Kabhi ungli jali, kabhi tel ke cheete ude
Par tumse dur rehkar jo jala hoon
Uska marham to tumhari ek mulakaat hai
Mai ruka hoon, Hamari shyam ki mulakaat ke liye
Tum aa rahe ho na barson baad, sambhalkar aana,
Ye mausam bhi khusi ke aansu barsa raha hai

No comments:

Post a Comment