Thursday 14 July 2022

Mera purana ghar

Baarish ke pokhar mein cham se koodkar
Has raha tha mai, umar thi bayalis
Paanch samajh raha tha mai
Tum haslo ye sochkar ki mai pagla gaya hoon
Khushi to pagal hi karti hai hum sabko
Mai khush hoon itne dino baad
kyonki mere ghar ka darwaza ban gaya
Jo khaa gaye the deemak, mere dhyan na dene se
Deemakone yaad dilaya mera bhi kuch hai
Kabootaron ne mere rasoi ke chauke  par dera jamaya tha
Mujhe mere nazarandaaz hone ki kami yaad aayi
Wo jab hatwaaya maine, mujhe ehsaas hua
Mujhe bhi meri cheezon se pyaar hai
Baarish ke pokhar mein jo aaj kood has raha hoon
Wo haazri bayalis hi sahi, par hain to paanch saal ka hi mai
Tum haslo ye sochkar ki mai pagla gaya hoon
Par Mujhe aaj hi mere zinda hoone ka ehsaas hua hai

No comments:

Post a Comment