Thursday 14 July 2022

Ek binti hai

Saikdo kavitaayein likhne ke baad,
 aaj maine tumhara naam likha
Har kavita ke neeche
Meri ungliya chalne se ruk gayi, 
jaise meri rooh ruk jaati thi kabhi tumko dekh kar
Kavitaon ke neeche tumhara naam aana to laazmi tha
Par likha nahi kabhi
  kyonki tum yaad aate ho to bikhar sa jaata hoon
Koshish thi aaj likh doon, 
shaayad likhne se mere dil ka bojh halka ho jayega
Par likh diya to tumhara naam dikh gaya, 
 aur nazar dhundli se ho gahi
Tum jaanti ho na mai to hoshiyar hoon
Tabhi to pencil se likh raha tha, 
  syaahi hoti to beh jaati
Meri kavita mere aasuon se mit jaati
Tum jaakar bhi rulaa gaye the, 
yaad aakar bhi rulaate ho
Ab to meri kavitaon mein bhi vyakararn ki kami dikhne lagi hai
Shaayad tum mujhe hi mujhse cheen kar le gaye ho
Maine kaha na mai hoshiyar hoon, 
pencil se likh raha hoon saari ki saari kavitaayein 
Tum aakar in kavitaon ko mitaa dena, 
 gar kabhi aao jo
Sirf tumhara naam rehne dena har kavita ke neeche
Maine tumhaare naam se hi likhi hai saari ki saari

No comments:

Post a Comment