Monday 25 July 2022

Kuch bhi to theek nahi tha

Pyar aur kya hai, 
shabdon ka hi to maaya jaal hai
Premi kehte hai ab saath guzarna kai saal hai
Par Phere saat hokar bhi saath guzaarna behaal hai
Kehne ko to kai baatein hai,
 lekin mere lafzon mein kuch jhol jhaal hai
Mai nai maanta pyar ko, 
ye to sirf kayaanat ki ek chaal hai

Mile the jab,
 na tum bikhre pade the, na hum
To kisi ke aane jaane par kyon apna ye haal hai
Anban hamaare beech raha kyon saalon saal hai
Tumko jab udaa le gaya koi, 
maine to kaha tha uske shabdon ka ye jaal hai
Mai nai maanta pyar ko, 
ye to sirf kayaanat ki ek chaal hai

Maanta hoon mai zara kachha hoon pyar ke raaston par
Par tumse to kaha tha maine banjao mere humsafar
Shaayad tum aur hum baney hi  nahi the saath ke liye
Mai nai maanta pyar ko, 
ye to sirf kayaanat ki ek chaal hai
Pyar aur kya hai, 
shabdon ka hi to maaya jaal hai

No comments:

Post a Comment