Sunday 13 March 2022

Bik raha tha, teri dukaan par

Isme tera kasoor nahi 
Yeh sochkar maaf kar doon
Khudko, tumko, 
hum dono ko
Tere pyar par mujhe yakeen tha, 
Tabhi to bik gaya, teri ek awaz par

Aise to aukaat ka bada guroor tha
Teri wafa ke liye to mai bheeg, bik, gaya
Har us chaurahe par,  jahan magroor tha kabhi
Dho aaya ro kar, toot kar, rengte
Tere pyar par mujhe yakeen tha,
Tabhi to bik gaya, teri ek aawaaz par

Aaj tu jo hai, mai tha kabhi, dilo dimaag se
Shayad tere pyaar mein wo kabiliyat thi
Suna tha pyaar mein rooh badal deta hai jism
Tu jo thi, mai nahi ban saka kabhi
Tere pyar par mujhe yakeen tha, 
Tabhi to bik aaya, bina lafz giraaye

No comments:

Post a Comment