Poochoon to jazbaat bataa dete hai
koi kamal koi haath bataa dete hai
Desh ka kya hi hoga... halaat bataa dete hai
mai poochun jo milaavat kar ke becha uska kya,
uska mausa vidhaayak bataa dete hai
jo poochun insaaf aur kuch bhool ki maafi na mile,
par balatkariyon ko riha kar mujhe meri aukaat bataa dete hai
mere bhai jo dhoop mein pis kar thand mein jamm kar marte hai,
unse salaam bulvaakar ye saara paisa samet lete hai
Aaj to chunaav tha, meri ungli par nishaan,
meri muskaan mera bharosa bataa dete hai
par chunaav to aaj sirf ek parivarik khel ban gaya hai,
Bant raha tha choona phir, jo ye mantri humko lagaa jaate hai
mai bhi matdaan kar aaya hoon,
thoda choona mai bhi lagvaakar aaya
Ab jab kursi waalon ki ladai hogi, tab ye yaad rakhna,
Ye gaddar mere desh ki sahensheelta ka mazaak bataa dete hai
No comments:
Post a Comment